Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 3
Kahin suna tha…Zindagi mein churaye hue pal hi beshkeemti pal hote hain…Maine bhi aisa hi ek pal chuaraya tha…Jo mujhe zindagi bhar yaad rahega…Bataun kya tha? Takreeban ek saal pehle ki baat hai…garmi ki dupahar thi...thakaan ki wajah se aankhon mein thodi neend thi…kaan mein headphones daale aur AC ki thandi hawa khaate hue kuch pal ke liye aankhein bandh kar li…aur achanak ek aahat hui…phone pe notification aya…SAI DEODHAR ANAND IS LIVE… Dil ki dhadkanein itni tez ho gayi thi ki…agar koi paas baitha hota toh use bhi sunai deti…live conversation join kiya toh aankhein chamak gayi…Chehra itna noorani jaise lage ki insaan nahi sona ki zinda murat hai…saagar si ghehri aur khoobsoorat aankhein…jinmein sirf duniya jeetne ki hasrat thi...unki muskaan mujhe aise nyota de rahi thi jaise woh sirf mere liya live aayi ho… Jis tarah pancchiyon ke kalrav ko sunke shaam pighal ke raat banti hai…bikul vaise hi mera dil pighal gaya…jab unhone sirf mera naam dekhkar mujhse baat ki…Zyada kuch keh nahi...