Posts

Showing posts from September, 2018

Pehla adhyaay...Ek adbhut anubhav...

Image
Ek asaadharann vijay yaatra… Haan…yeh kahani ek aise insaan ki hai…jinki jeevan gaatha ko mere nazariye se dekhenge…toh ek asaadharann vijay yaatra hi dikhegi… Dekh kar mann bechain ho utha…ki ikkisvi sadi ki is chhal, kapat aur swarth se bhari duniya mein aaj bhi aise log hain…jinki taraf dekhne ka mann karta hai…jinki kahani sunne ka mann karta hai…jinse bohot kuch seekhne ka mann karta hai… Mrs. Shrabani Deodhar…Yeh naam jitna adbhut hai…yeh khud usse kai zyada adbhut hain…Inki kahani ka sirf ek adhyaay padhne par dil kitna kuch kehne aur sunne ko aatur ho gaya… Ek pal ko aapke paas sab kuch ho…aur agle hi pal pata chale ki woh aapse door jaa raha hai…Kya haal hoga? Unki vijay yaatra ki kahani is mod se shuru hui thi… Itna kuch hone ke bavjood apne aapko ek parvat ki tarah jode rakha…jo bahubali ki tarah mazboot bhi tha aur barf ki tarah sheetal bhi…Sehensheelta aur dheerta ki ek adwitiya misaal…Jinhone zindagi jeene ka nazariya hi badal diya… Unke saath sirf kuch pal bitane se dil

Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 2

Image
Uparwala na jane kaisi leela karta hai…kabhi koi daulat maang maang kar thak jata hai lekin use milti nahi…aur yahan toh bin maange hi kalyug ka kuber bana diya mujhe… Lagta high speed 4G connection pe rakha hai meri duaon ko…kabhi sapne mein bhi unka ahit chahne ka khayal nahi aya…hamesha unki khushiyan mangi…lekin mujhe kya pata tha…ki woh khud meri khushiyon ki saughaat banke aayin thi… Akaal ke dard ko sehnewale bhookhe ke saamne chhappan bhog se bhari thali rakh den toh use kaisa lagega?...bilkul vaisa haal tha mera…zaroorat padne par mere apne mujhe kai baar aawaz lag diya karte aur unhe jawab bhi mil jata tha…lekin unki awaaz ne naam liya…toh zindagi mein pehli baar peeche mudkar dekhne ka mann kiya…pehli baar awaaz ya zaroorat nahi balki insaan ko jawab dene ka mann kiya… Kuch log insaan se pyar karte hain…kuch jaanwar se bhi karte hain…kisi ke dil mein desh ke liye pyar hai…toh kisi ki zindagi mein pyar hi nahi likha hota…main un khushnaseebon mein se hun jise pyar toh mila…ma