Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 2



Uparwala na jane kaisi leela karta hai…kabhi koi daulat maang maang kar thak jata hai lekin use milti nahi…aur yahan toh bin maange hi kalyug ka kuber bana diya mujhe… Lagta high speed 4G connection pe rakha hai meri duaon ko…kabhi sapne mein bhi unka ahit chahne ka khayal nahi aya…hamesha unki khushiyan mangi…lekin mujhe kya pata tha…ki woh khud meri khushiyon ki saughaat banke aayin thi…

Akaal ke dard ko sehnewale bhookhe ke saamne chhappan bhog se bhari thali rakh den toh use kaisa lagega?...bilkul vaisa haal tha mera…zaroorat padne par mere apne mujhe kai baar aawaz lag diya karte aur unhe jawab bhi mil jata tha…lekin unki awaaz ne naam liya…toh zindagi mein pehli baar peeche mudkar dekhne ka mann kiya…pehli baar awaaz ya zaroorat nahi balki insaan ko jawab dene ka mann kiya…

Kuch log insaan se pyar karte hain…kuch jaanwar se bhi karte hain…kisi ke dil mein desh ke liye pyar hai…toh kisi ki zindagi mein pyar hi nahi likha hota…main un khushnaseebon mein se hun jise pyar toh mila…magar aise milega...sapne mein bhi nahi socha tha…ke kisi ki prem Kahani se pyaar ho jayega…

Duniya mein bohot se logon ko khush dekhkar chehre par muskaan aa jati hai…magar inhe jab dekha toh pehli baar khushi hui…rooh se pehli baar kisi ke liye tareef se pehle dua nikli…us dua mein kitni taakat thi…iska andaza lagana mushkil hai…magar usme itni shiddhat thi…jitni shayad…apne liye maangi hui duaon mein bhi nahi thi…

Apne-parayon mein log bohot fark karte hai…aur achche se samajhten bhi hai…kise apna manna chahiye aur kise paraya…magar pehli baar kisi ke saath koi rishta na hote hue bhi ek apnepan ka ehsaas hua…rishton ki gehrayi mein doobne se pata chala…ke yeh toh rooh se rooh tak ki Kahani hai…

Khudko kai baar pucha…aisa kya hai inmein jo itna pyar ata hai…phir samajh aaya…pyar ki koi wajah nahi hoti…kyunki agar wajah hoti…toh woh pyaar hi nahi hota…

Kahaniyon mein padha aur suna hai…ek raja dusro ko yuddh mein harakar unke prant ko jeet leta hai…magar inhe dekha toh pehli baar harane kaa nahi kiya...kyunki hum khud hi apna dil haar chuke the...

Hamesha ek raja wali zindagi jee hai maine…puri tarah se ek shahi jeevan shailli…jo mangu palak jhepakte mil jaye…ek hi janam mein saare jag ko jeetne ka laksh sadha tha…magar inse rubaru hone ke baad…pehli baar…dil jeetne ki hasrat jaagi…

Mere paida hone par Jyotish ne meri kundli dekhkar kaha tha…yeh apne dada ki tarah adey naam karm leke paida hue hain…matlab jeetne ki puri sakshamta lekar aayen hain apne saath…jab unhone tohfon ki sarahna karte hue shukriyada kiya…toh pehli baar Jyotish ki baat par vishwaas karne ka mann kiya…

Jazbaat ke fasane aur bhi hain…filhaal itna hai aapse kehna…dil kehta hai…tu hai yahaan toh…jata lamha tham jaye…waqt ka dariya behte behte…is manzar mein jam jaye…

Comments

Popular posts from this blog

The Ancient Love Story...Chapter 5

The Ancient Love Story...Chapter 1

The Ancient Love Story…Chapter 4