Vijay Yaatra Ki Shuruat
Koi insaan jo aapke saath hamesha se ho...jiske saath aapne hasi-khushi ke saare pal bitaye ho...jisne ek deewar ki tarah aapko sahara diya ho...jisne har musibat mein aapka saath diya ho...apki us musibat se bahar nikalne mein madat ki ho...woh ek din achanak aapse door ho jaye...kya haal hoga?
Apnon ko khone ke dard se zyada bhayanak unhe kho dene dar hota hai...us dar ki wajah se sabki zindagi mein ek anchaha avsaad baith gaya tha...waqt ki woh dhara jismein kabhi pyar aur apnon ke saath ka anand chhalakta tha...ab usmein peeda aur bhay ka tezaab beh raha tha…
Parivar ke char sthambhon mein se ek ki gair-maujudgi bohot kuch dagmaga deti hai...jinmein se sabse mahtvapurn tha...atmavishwas...

Us insaan ko apne paas rakhne ke athak prayaas...parivar ki chinta...avishwas...dar...nirasha...tanaav...jeevan ki woh ghadi itni bhayanak ho gayi thi ki ek anjana yuddh chhid gaya tha...jismein durbhagyavarsh...jeet hasil karna mumkin nahi tha...
Duniya jeetne ke liye sabse pehla aur zaroori kadam hai…nishchay… Unhone bhi vahi kiya…Tej aankhein…unnat mastak aur dridh atmavishwaas ke saath usi tezaab ki dhara mein khudko jhonk diya… Apne aapko woh mauke diye jo shayad pehle kabhi nahi diye the…yahi woh mod tha jo unki jeet ka pratham adhyaay bana…
Vijay yaatra ke har pal ke saath ek naye sawaal ka samna hota tha…dar bhi lagta tha…magar aisi kasrat ke dimaag thak kar choor ho jaye par itni mazedaar ke samagra astitva anand aur garv se otrpot ho jaye…Us waqt unhone ek pura parvat apne sar par utha rakha tha…us parvat ka bojh kabhi kam nahi hua…bas unhone takatwar hona shuru kar diya tha…
Aur aaj…woh khud apne aap mein ek bada saamrajya khada kar chuki hain…jiske sahare ki zaroorat padti thi…aaj usi ke sapnon ko saakar kiya… jiski kabhi kami khalti thi…use ek khoobsoorat yaad ka aakar diya…jisse har baat par mashwara liya karte the…aaj usi ki samjhayi hui baaton ko siddhant bana diya tha…
Meri baatein inke baare mein kabhi khatam nahi hoti…lekin aapse itna hi kehna hai…agar kahin aapko inki is vijay yaatra ka hissa banne ka mauka mil jaye…toh chhodiyega mat…khara sona hai…khara sona…
Comments
Post a Comment