Posts

Showing posts from October, 2018

Vijay Yaatra Ki Shuruat

Image
Koi insaan jo aapke saath hamesha se ho...jiske saath aapne hasi-khushi ke saare pal bitaye ho...jisne ek deewar ki tarah aapko sahara diya ho...jisne har musibat mein aapka saath diya ho...apki us musibat se bahar nikalne mein madat ki ho...woh ek din achanak aapse door ho jaye...kya haal hoga? Apnon ko khone ke dard se zyada bhayanak unhe kho dene dar hota hai...us dar ki wajah se sabki zindagi mein ek anchaha avsaad baith gaya tha...waqt ki woh dhara jismein kabhi pyar aur apnon ke saath ka anand chhalakta tha...ab usmein peeda aur bhay ka tezaab beh raha tha… Parivar ke char sthambhon mein se ek ki gair-maujudgi bohot kuch dagmaga deti hai...jinmein se sabse mahtvapurn tha...atmavishwas... Us insaan ko apne paas rakhne ke athak prayaas...parivar ki chinta...avishwas...dar...nirasha...tanaav...jeevan ki woh ghadi itni bhayanak ho gayi thi ki ek anjana yuddh chhid gaya tha...jismein durbhagyavarsh...jeet hasil karna mumkin nahi tha... Duniya jeetne ke liye sabse pehla aur zaroori kad