D.A.T.E
Duniya walon ne in rishton ko na jaane kitne naam diye hai…kuch khatte-meethe…kuch tede-mede aur atpate se… Waqt ke saath har rishte mein badlaav ata hai…gehrayi badlti hai…jazbaat badlten hain…lekin agar kuch nahi badalta, toh woh hai ek aulad ka rishta…apne mata-pita se… Hazaron logon se mitle hain hum…magar dil aakhir mein unhi ki god mein sukoon pata hai…unhi ki baahon ka ghera mehfooz lagta hai… Kitna khoobsoorat hai yeh rishta…rochak…romanchak…mazedaar aur sangharshpurn… Is rishte mein na jaane kaisi dor hai…jo hamesha atoot rehti hai... Bikul aisa hi rishta hai unka apne mata-pita se… Pita jaise prerna ki moorat…jise dekh dekh woh bhi apne sapnon ko pura karne ka saahas karti rahi…unka marg darshan paakar woh na sirf gaurvanvit hoti thi…magar unko apna adarsh banakar saahas ko ek nayi pehchaan di thi… Kehten hain jab aulaad hosh sambhale tab pita mitra ban jaate hain…woh unke pitra bhi the…mitra bhi the…jinhone pag-pag par unka haath thaame rakha… ...