D.A.T.E
Duniya walon ne in
rishton ko na jaane kitne naam diye hai…kuch khatte-meethe…kuch tede-mede aur
atpate se…
Waqt ke saath har
rishte mein badlaav ata hai…gehrayi badlti hai…jazbaat badlten hain…lekin agar
kuch nahi badalta, toh woh hai ek aulad ka rishta…apne mata-pita se…
Hazaron logon se mitle hain hum…magar dil aakhir mein unhi ki god mein sukoon pata hai…unhi ki baahon ka ghera mehfooz lagta hai…
Hazaron logon se mitle hain hum…magar dil aakhir mein unhi ki god mein sukoon pata hai…unhi ki baahon ka ghera mehfooz lagta hai…
Kitna khoobsoorat
hai yeh rishta…rochak…romanchak…mazedaar aur sangharshpurn… Is rishte mein na
jaane kaisi dor hai…jo hamesha atoot rehti hai... Bikul aisa hi rishta hai unka
apne mata-pita se…
Pita jaise prerna
ki moorat…jise dekh dekh woh bhi apne sapnon ko pura karne ka saahas karti rahi…unka
marg darshan paakar woh na sirf gaurvanvit hoti thi…magar unko apna adarsh
banakar saahas ko ek nayi pehchaan di thi…
Kehten hain jab
aulaad hosh sambhale tab pita mitra ban jaate hain…woh unke pitra bhi the…mitra
bhi the…jinhone pag-pag par unka haath thaame rakha…
Aur maa?...maa
jaise sangharsh aur sehensheelta ka darpann…jisne haste-haste bohot kuch tyaag
diya… Santan ki unnati ke liye apne aapko is makaam tak pahunchaya jise paane
ke liye na jaane kitni hi adchanon aur mushkilon ka saamna karna pada…
Phir aayi woh
anghatti ashubh ghadi…jab is rishte ke ek saathi ne apnon se li bidaai…Tootkar
bikhar jaane ka dil kiya kayi baar…magar har baar pita ka noorani muskurata
vishwaas se bhara chehra saamne aa jata…
26 saal ki umar
mein…aisi sthiti mein…koi bhi hosh kho sakta hai... Pita ka saath na hone ke
kaarann ek anjana sa dar dikhayi de raha tha…magar usi dar ne use naya sahas
diya…aur us sahas ne ek nayi vichaar dhara…ek naya drishtikonn…
Us 26 saal ki
ladki ki ne apne pita ki yaad mein yeh kahani likhi thi…mujhe yeh nahi pata ki
us kahani ne kitnon ki zindagi badli…lekin itna zaroor pata hai…ki unke
saath-saath yeh kahani mere liye bhi dher saari khushiyaan lekar aayi hai…
Comments
Post a Comment