Posts

Showing posts from 2019

Happy Birthday, Rockstar!!

Image
Sai...her name itself has immense purity. She is a statue of simplicity…she is the symbol of serenity…she has the smile of salad days…she is as scarce as hen’s teeth…her eyes are sharp as a tack…her beauty has the power to smash anyone to smithereens…she is the sign of sincerity…she is as soothing as the skies…she is the sea of sheening liquid gold…the sun’s rays reflect in her eyes…she wears the shades of life like a scarf…She’s my Saagar Jaisi Ankhonwali… I’ve seen Sai since dog’s years and always admired her hard work as a spectator…but I’ve known her for 8 months now…Haven’t spoken to her much about her…but still, I feel I know a lot about her…probably because she resembles my older sister or because I’ve observed them very closely… I may have learned a multitude of things from them which I wouldn’t even be aware of…but there’s one thing I know I learned from Sai…and that was patience. I realized the power of my patience after my 8 years of fandom…still going strong t

D.A.T.E

Image
Duniya walon ne in rishton ko na jaane kitne naam diye hai…kuch khatte-meethe…kuch tede-mede aur atpate se… Waqt ke saath har rishte mein badlaav ata hai…gehrayi badlti hai…jazbaat badlten hain…lekin agar kuch nahi badalta, toh woh hai ek aulad ka rishta…apne mata-pita  se… Hazaron logon se mitle hain hum…magar dil aakhir mein unhi ki god mein sukoon pata hai…unhi ki baahon ka ghera mehfooz lagta hai… Kitna khoobsoorat hai yeh rishta…rochak…romanchak…mazedaar aur sangharshpurn… Is rishte mein na jaane kaisi dor hai…jo hamesha atoot rehti hai... Bikul aisa hi rishta hai unka apne mata-pita se… Pita jaise prerna ki moorat…jise dekh dekh woh bhi apne sapnon ko pura karne ka saahas karti rahi…unka marg darshan paakar woh na sirf gaurvanvit hoti thi…magar unko apna adarsh banakar saahas ko ek nayi pehchaan di thi… Kehten hain jab aulaad hosh sambhale tab pita mitra ban jaate hain…woh unke pitra bhi the…mitra bhi the…jinhone pag-pag par unka haath thaame rakha… Aur

Saagar Jaise Ankhonwali - Final Chapter

Image
Us din ke baad kai baar live conversation pe baat hui…har baar itni khushi hoti thi…ab toh lavz bhi kam padten hain bayaan karne ke liye… Achcha se yaad hai mujhe…August 30, 2018 ki woh raat thi…saara akaash ka aakhri episode dekhne ke baad sone ki taiyaari shuru kardi…aankhein toh bandh karli magar neend nahi aayi…dil mein achanak khayal aya…aaj tak jo bhi unhe bheja woh sirf tareef aur sneh ki nishaniyan thi…kabhi apne dil ki baat toh unhe batayi hi nahi…unke baare hum kya sochten hain…dil mein unke liye kya hai…yeh toh kabhi kaha hi nahi… Is khayal ne mujhse woh karvaya jo maine pehle kabhi kisi ke liye nahi kiya tha…laptop khola aur likhna shuru kar diya…dil mein jo bhi aya…bina soche shabdon mein utaar diya…dheere dheere ek ke baad ek jazbaat lafzon mein utarte gaye…jo bhi likha tha use sirf apne tak rakhne ka mann nahi tha…kyunki unhe batana tha…ki mere dil mein kya hai…blog publish kiya…aur link post karke so gaye… Kehten hain na…dil agar sachcha ho…toh baat seedhe dil mein utar