Posts

Showing posts from 2018

Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 3

Image
Kahin suna tha…Zindagi mein churaye hue pal hi beshkeemti pal hote hain…Maine bhi aisa hi ek pal chuaraya tha…Jo mujhe zindagi bhar yaad rahega…Bataun kya tha? Takreeban ek saal pehle ki baat hai…garmi ki dupahar thi...thakaan ki wajah se aankhon mein thodi neend thi…kaan mein headphones daale aur AC ki thandi hawa khaate hue kuch pal ke liye aankhein bandh kar li…aur achanak ek aahat hui…phone pe notification aya…SAI DEODHAR ANAND IS LIVE… Dil ki dhadkanein itni tez ho gayi thi ki…agar koi paas baitha hota toh use bhi sunai deti…live conversation join kiya toh aankhein chamak gayi…Chehra itna noorani jaise lage ki insaan nahi sona ki zinda murat hai…saagar si ghehri aur khoobsoorat aankhein…jinmein sirf duniya jeetne ki hasrat thi...unki muskaan mujhe aise nyota de rahi thi jaise woh sirf mere liya live aayi ho… Jis tarah pancchiyon ke kalrav ko sunke shaam pighal ke raat banti hai…bikul vaise hi mera dil pighal gaya…jab unhone sirf mera naam dekhkar mujhse baat ki…Zyada kuch keh nahi...

Vijay Yaatra Ki Shuruat

Image
Koi insaan jo aapke saath hamesha se ho...jiske saath aapne hasi-khushi ke saare pal bitaye ho...jisne ek deewar ki tarah aapko sahara diya ho...jisne har musibat mein aapka saath diya ho...apki us musibat se bahar nikalne mein madat ki ho...woh ek din achanak aapse door ho jaye...kya haal hoga? Apnon ko khone ke dard se zyada bhayanak unhe kho dene dar hota hai...us dar ki wajah se sabki zindagi mein ek anchaha avsaad baith gaya tha...waqt ki woh dhara jismein kabhi pyar aur apnon ke saath ka anand chhalakta tha...ab usmein peeda aur bhay ka tezaab beh raha tha… Parivar ke char sthambhon mein se ek ki gair-maujudgi bohot kuch dagmaga deti hai...jinmein se sabse mahtvapurn tha...atmavishwas... Us insaan ko apne paas rakhne ke athak prayaas...parivar ki chinta...avishwas...dar...nirasha...tanaav...jeevan ki woh ghadi itni bhayanak ho gayi thi ki ek anjana yuddh chhid gaya tha...jismein durbhagyavarsh...jeet hasil karna mumkin nahi tha... Duniya jeetne ke liye sabse pehla aur zaroori kad...

Pehla adhyaay...Ek adbhut anubhav...

Image
Ek asaadharann vijay yaatra… Haan…yeh kahani ek aise insaan ki hai…jinki jeevan gaatha ko mere nazariye se dekhenge…toh ek asaadharann vijay yaatra hi dikhegi… Dekh kar mann bechain ho utha…ki ikkisvi sadi ki is chhal, kapat aur swarth se bhari duniya mein aaj bhi aise log hain…jinki taraf dekhne ka mann karta hai…jinki kahani sunne ka mann karta hai…jinse bohot kuch seekhne ka mann karta hai… Mrs. Shrabani Deodhar…Yeh naam jitna adbhut hai…yeh khud usse kai zyada adbhut hain…Inki kahani ka sirf ek adhyaay padhne par dil kitna kuch kehne aur sunne ko aatur ho gaya… Ek pal ko aapke paas sab kuch ho…aur agle hi pal pata chale ki woh aapse door jaa raha hai…Kya haal hoga? Unki vijay yaatra ki kahani is mod se shuru hui thi… Itna kuch hone ke bavjood apne aapko ek parvat ki tarah jode rakha…jo bahubali ki tarah mazboot bhi tha aur barf ki tarah sheetal bhi…Sehensheelta aur dheerta ki ek adwitiya misaal…Jinhone zindagi jeene ka nazariya hi badal diya… Unke saath sirf kuch pal bitane se dil ...

Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 2

Image
Uparwala na jane kaisi leela karta hai…kabhi koi daulat maang maang kar thak jata hai lekin use milti nahi…aur yahan toh bin maange hi kalyug ka kuber bana diya mujhe… Lagta high speed 4G connection pe rakha hai meri duaon ko…kabhi sapne mein bhi unka ahit chahne ka khayal nahi aya…hamesha unki khushiyan mangi…lekin mujhe kya pata tha…ki woh khud meri khushiyon ki saughaat banke aayin thi… Akaal ke dard ko sehnewale bhookhe ke saamne chhappan bhog se bhari thali rakh den toh use kaisa lagega?...bilkul vaisa haal tha mera…zaroorat padne par mere apne mujhe kai baar aawaz lag diya karte aur unhe jawab bhi mil jata tha…lekin unki awaaz ne naam liya…toh zindagi mein pehli baar peeche mudkar dekhne ka mann kiya…pehli baar awaaz ya zaroorat nahi balki insaan ko jawab dene ka mann kiya… Kuch log insaan se pyar karte hain…kuch jaanwar se bhi karte hain…kisi ke dil mein desh ke liye pyar hai…toh kisi ki zindagi mein pyar hi nahi likha hota…main un khushnaseebon mein se hun jise pyar toh mila…ma...

Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 1

Image
Sooraj ki roshni si hai woh, pyar ki ushma barsaati hai, aankhon ke tej se chaahat ke jhaam chhalkati hai…aur sabse zaroori…zindagi ke andheron ko apne kaushal ke ujalon se bade pyar se bhar deti hai. Unke baare mein sirf suna toh soch mein pad gaye…Kya yeh hum jaisi hain, ya kya inki zindagi humse alag hai?...Kya inke liye rishte maiyne rakhten hain ya inki zindagi bhi us rang manch ki tarah hai jahan parda girne par sab apna rasta naap lete hain?...Kya aankh bandh karne par inhe bhi vaise hi sapne aate hain jaise sapne hum sajoten hain?...Kya inhe bhi apnon se door hone ka dar satata hai, ya inke liye rishte sirf naam aur matlab ke hain?...Kya yeh achche insaan ki parakh karna jante hain ya sirf ek achcha abhineta ko parakhna jante hain?...Aise bohot se sawal dil mein ubhar aaye the. Phir socha…bina kisi ko jane, bina unhe pehchane use parakhna akalmandi nahi hai... Jab pehle bar unse baat karne ki koshish ki toh jawab kuch alag andaaz main mila…Ranaji ka dubsmash karta hua ek pyara ...

The Ancient Love Story...Chapter 5

Image
The Ancient Love Story...Chapter 5 Next morning, the sun had risen in the blue skies. Udai was still asleep and the window on his right was allowing the sunrays to fall his impetuous face. The birds were chirping near on the tree near the balcony. The sunrays gradually moved towards Udai’s eyes and ended up breaking his sleep.   Udai got off his bed and noticed Jeevant was already up before him. She entered the room a couple of seconds later. Her dressing was simple, but still she was looking like a goddess. She had a tray in her hand with all the things in it needed for the Morning Prayer. Her jet-black hair was wet and open, with the cool breeze going back and forth. Udai was so mesmerized with her beauty that he couldn’t stop himself and complimented her with a huge smile on his face, “You look like a goddess!” seeing Udai’s expressions made Jeevant shyly reply, “Thank you very much.” Everything was quite a couple of second. None of them had anything to say. Both...