Posts

When we met life!

Image
Woh sar pe sabke kaal sa mandraya, usne sabke maut ke dar ko jagaya. Jung chhedi usne bhishann si, aam logon ke bhes mein kaiyon ko farishton se badhkar dikhaya. Vishwa bhar mein kolahal macha tha, social distancing hi ek raasta bacha tha. Corona virus jaisi mahamari ne aise baaziyan palti, jo kisi ne sapne mein nahi socha tha. Shayad kisike saath pehli baar hua hoga, ke boss ne kaam pe aane se mana kar diya, aur shayad kisiko saalon mein pehli baar pehle wala ravivaar laga hoga. Jo log abroad ki taareef kar usmein basne ke sapne saja rahe the, unhi ki thaliyon par aaj desh ki jai jaikaar thi. Keto diet ke deenge haanknewale aaj maa ke haath ke rajma-chawal ka lutf utha rahe the. Koi saalon baad kitchen mein apne haathon se apnon ke liye khana bana raha tha. Jise padhne se chid hoti thi, aaj woh bhi William Shakespeare ki kitabein padh raha tha. Files ke beech rehne wale ne bhi aaj kayi saalon baad paint brush utha hi liya. Rock music ka shaukeen, aaj caarvan pe kishore da ke

Happy Birthday, Rockstar!!

Image
Sai...her name itself has immense purity. She is a statue of simplicity…she is the symbol of serenity…she has the smile of salad days…she is as scarce as hen’s teeth…her eyes are sharp as a tack…her beauty has the power to smash anyone to smithereens…she is the sign of sincerity…she is as soothing as the skies…she is the sea of sheening liquid gold…the sun’s rays reflect in her eyes…she wears the shades of life like a scarf…She’s my Saagar Jaisi Ankhonwali… I’ve seen Sai since dog’s years and always admired her hard work as a spectator…but I’ve known her for 8 months now…Haven’t spoken to her much about her…but still, I feel I know a lot about her…probably because she resembles my older sister or because I’ve observed them very closely… I may have learned a multitude of things from them which I wouldn’t even be aware of…but there’s one thing I know I learned from Sai…and that was patience. I realized the power of my patience after my 8 years of fandom…still going strong t

D.A.T.E

Image
Duniya walon ne in rishton ko na jaane kitne naam diye hai…kuch khatte-meethe…kuch tede-mede aur atpate se… Waqt ke saath har rishte mein badlaav ata hai…gehrayi badlti hai…jazbaat badlten hain…lekin agar kuch nahi badalta, toh woh hai ek aulad ka rishta…apne mata-pita  se… Hazaron logon se mitle hain hum…magar dil aakhir mein unhi ki god mein sukoon pata hai…unhi ki baahon ka ghera mehfooz lagta hai… Kitna khoobsoorat hai yeh rishta…rochak…romanchak…mazedaar aur sangharshpurn… Is rishte mein na jaane kaisi dor hai…jo hamesha atoot rehti hai... Bikul aisa hi rishta hai unka apne mata-pita se… Pita jaise prerna ki moorat…jise dekh dekh woh bhi apne sapnon ko pura karne ka saahas karti rahi…unka marg darshan paakar woh na sirf gaurvanvit hoti thi…magar unko apna adarsh banakar saahas ko ek nayi pehchaan di thi… Kehten hain jab aulaad hosh sambhale tab pita mitra ban jaate hain…woh unke pitra bhi the…mitra bhi the…jinhone pag-pag par unka haath thaame rakha… Aur

Saagar Jaise Ankhonwali - Final Chapter

Image
Us din ke baad kai baar live conversation pe baat hui…har baar itni khushi hoti thi…ab toh lavz bhi kam padten hain bayaan karne ke liye… Achcha se yaad hai mujhe…August 30, 2018 ki woh raat thi…saara akaash ka aakhri episode dekhne ke baad sone ki taiyaari shuru kardi…aankhein toh bandh karli magar neend nahi aayi…dil mein achanak khayal aya…aaj tak jo bhi unhe bheja woh sirf tareef aur sneh ki nishaniyan thi…kabhi apne dil ki baat toh unhe batayi hi nahi…unke baare hum kya sochten hain…dil mein unke liye kya hai…yeh toh kabhi kaha hi nahi… Is khayal ne mujhse woh karvaya jo maine pehle kabhi kisi ke liye nahi kiya tha…laptop khola aur likhna shuru kar diya…dil mein jo bhi aya…bina soche shabdon mein utaar diya…dheere dheere ek ke baad ek jazbaat lafzon mein utarte gaye…jo bhi likha tha use sirf apne tak rakhne ka mann nahi tha…kyunki unhe batana tha…ki mere dil mein kya hai…blog publish kiya…aur link post karke so gaye… Kehten hain na…dil agar sachcha ho…toh baat seedhe dil mein utar

Saagar Jaise Ankhonwali - Chapter 3

Image
Kahin suna tha…Zindagi mein churaye hue pal hi beshkeemti pal hote hain…Maine bhi aisa hi ek pal chuaraya tha…Jo mujhe zindagi bhar yaad rahega…Bataun kya tha? Takreeban ek saal pehle ki baat hai…garmi ki dupahar thi...thakaan ki wajah se aankhon mein thodi neend thi…kaan mein headphones daale aur AC ki thandi hawa khaate hue kuch pal ke liye aankhein bandh kar li…aur achanak ek aahat hui…phone pe notification aya…SAI DEODHAR ANAND IS LIVE… Dil ki dhadkanein itni tez ho gayi thi ki…agar koi paas baitha hota toh use bhi sunai deti…live conversation join kiya toh aankhein chamak gayi…Chehra itna noorani jaise lage ki insaan nahi sona ki zinda murat hai…saagar si ghehri aur khoobsoorat aankhein…jinmein sirf duniya jeetne ki hasrat thi...unki muskaan mujhe aise nyota de rahi thi jaise woh sirf mere liya live aayi ho… Jis tarah pancchiyon ke kalrav ko sunke shaam pighal ke raat banti hai…bikul vaise hi mera dil pighal gaya…jab unhone sirf mera naam dekhkar mujhse baat ki…Zyada kuch keh nahi

Vijay Yaatra Ki Shuruat

Image
Koi insaan jo aapke saath hamesha se ho...jiske saath aapne hasi-khushi ke saare pal bitaye ho...jisne ek deewar ki tarah aapko sahara diya ho...jisne har musibat mein aapka saath diya ho...apki us musibat se bahar nikalne mein madat ki ho...woh ek din achanak aapse door ho jaye...kya haal hoga? Apnon ko khone ke dard se zyada bhayanak unhe kho dene dar hota hai...us dar ki wajah se sabki zindagi mein ek anchaha avsaad baith gaya tha...waqt ki woh dhara jismein kabhi pyar aur apnon ke saath ka anand chhalakta tha...ab usmein peeda aur bhay ka tezaab beh raha tha… Parivar ke char sthambhon mein se ek ki gair-maujudgi bohot kuch dagmaga deti hai...jinmein se sabse mahtvapurn tha...atmavishwas... Us insaan ko apne paas rakhne ke athak prayaas...parivar ki chinta...avishwas...dar...nirasha...tanaav...jeevan ki woh ghadi itni bhayanak ho gayi thi ki ek anjana yuddh chhid gaya tha...jismein durbhagyavarsh...jeet hasil karna mumkin nahi tha... Duniya jeetne ke liye sabse pehla aur zaroori kad

Pehla adhyaay...Ek adbhut anubhav...

Image
Ek asaadharann vijay yaatra… Haan…yeh kahani ek aise insaan ki hai…jinki jeevan gaatha ko mere nazariye se dekhenge…toh ek asaadharann vijay yaatra hi dikhegi… Dekh kar mann bechain ho utha…ki ikkisvi sadi ki is chhal, kapat aur swarth se bhari duniya mein aaj bhi aise log hain…jinki taraf dekhne ka mann karta hai…jinki kahani sunne ka mann karta hai…jinse bohot kuch seekhne ka mann karta hai… Mrs. Shrabani Deodhar…Yeh naam jitna adbhut hai…yeh khud usse kai zyada adbhut hain…Inki kahani ka sirf ek adhyaay padhne par dil kitna kuch kehne aur sunne ko aatur ho gaya… Ek pal ko aapke paas sab kuch ho…aur agle hi pal pata chale ki woh aapse door jaa raha hai…Kya haal hoga? Unki vijay yaatra ki kahani is mod se shuru hui thi… Itna kuch hone ke bavjood apne aapko ek parvat ki tarah jode rakha…jo bahubali ki tarah mazboot bhi tha aur barf ki tarah sheetal bhi…Sehensheelta aur dheerta ki ek adwitiya misaal…Jinhone zindagi jeene ka nazariya hi badal diya… Unke saath sirf kuch pal bitane se dil