When we met life!
Woh sar pe sabke kaal sa mandraya, usne sabke maut ke dar ko jagaya. Jung chhedi usne bhishann si, aam logon ke bhes mein kaiyon ko farishton se badhkar dikhaya. Vishwa bhar mein kolahal macha tha, social distancing hi ek raasta bacha tha.
Corona virus jaisi mahamari ne aise baaziyan palti, jo kisi
ne sapne mein nahi socha tha. Shayad kisike saath pehli baar hua hoga, ke boss ne kaam pe aane se mana kar diya, aur shayad kisiko saalon mein pehli baar pehle wala ravivaar laga hoga. Jo log abroad ki taareef kar usmein basne ke sapne
saja rahe the, unhi ki thaliyon par aaj desh ki jai jaikaar thi. Keto diet ke
deenge haanknewale aaj maa ke haath ke rajma-chawal ka lutf utha rahe the. Koi
saalon baad kitchen mein apne haathon se apnon ke liye khana bana raha tha.
Jise padhne se chid hoti thi, aaj woh bhi William Shakespeare ki kitabein padh
raha tha. Files ke beech rehne wale ne bhi aaj kayi saalon baad paint brush
utha hi liya. Rock music ka shaukeen, aaj caarvan pe kishore da ke gaane sun
raha tha. Parivar ko waqt na de paate corporates aaj apne bacchon ko bachpan ke
kisse suna rahe the. Din bhar social media par chipke rehne wale bacchon ko aaj
dadaji ki purani tasveeron mein zyada dilchaspi thi. Netflix and chill wale aaj
saath baithkar ludo khel rahe the.
Koi apni parchayi se mila, toh koi tanhai se. Kisi ko mili
dhyaan chhaya, toh kisine aaj ek naya gyaan paya. Kahin kisi ke saalon purane
zakhamon par malham lagaya, toh kahin kisi ki yaad ne kisi ko behtahasha
rulaya. Kisi ko maa ki mamta keemat samajh mein aayi, toh kisi ko baap ki
taqleefon ka ehsaas hua. Kahin naastik bhi aaj apnon ke liye sajde mein sar
jhuka raha tha. Saath baithkar kuch hase, kuch roye toh kuch sharatein purani
yaadein wapas le aayi. Kisi ne apne zindagi ke sabse ehem faisle liye, toh kisi
ne apne pyar ko saalon baad phir paya. Kisi ne zindagi ke naye tareeqe azmaye,
toh kisne ne zindagi ke naye sapne sajaye.
Sabne apna farz adaa kiya. Jo apnon ke saath the woh bhi,
aur jo nahi the woh bhi. Bina apne baare mein soche, jaan hatheli par rakhkar
din raat woh ladte rahe. Har pal is umeed par tike rahe ki aakhir sab theek ho
jayega. Hum yahan apna farz nibha rahe hain, toh uparwala bhi apna farz
nibhayega.
Yeh jung ab khatam hone ko hai, uska aakhri waqt aane ko
hai. Kal phir ek naya savera hoga, kal phirse hum apni purani zindagi dhal
jayenge. Par ek seekh hamesha saath rahegi…
"Mushkil chahen kaisa bhi waqt aaye,
tal jayega. Abhi surya ast ho gaya toh kya hua, kal phir suraj chamakti roshni
lekar aayega!"
- Kriya Mehta
Comments
Post a Comment